Tag: shayari

  • Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota

    Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota,
    Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,

    Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se,
    Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,

    Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai,
    Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,

    Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
    Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota,

    Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
    Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,

    Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne,
    Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota…

  • मेरी नज़र तेरी नज़र…

    💕ये तेरा घर ये मेरा घर किसी को देखना हो गर
    तो पहले आ के माँग ले, मेरी नज़र तेरी नज़र..😍

  • तुम्हारी मेरी भी इक कहानी बनी थी

    तुम्हारी मेरी भी इक कहानी बनी थी ।
    कुछ इस तरह से मेरी जिन्दगानी बनी थी ॥
    जमाने की नज़रों मे आ गई थी तेरी अदाएं ।
    उम्र के जिस पडाव पर तुम सयानी बनी थी ॥
    खासमखास थे मेरे लिए, वो चंद लम्हे ।
    जिस घडी तुम मेरी दीवानी बनी थी ॥
    खुदा जाने क्या टूट गया था तेरे मेरे बीच ।
    तेरी बेवफ़ाई मेरे प्यार की निशानी बनी थी ॥
    हमारा फ़साना शहर में मशहूर हुआ कुछ ऐसा ।
    कि मेरी दीवानगी लोगो की जुबानी बनी थी ॥

  • Raato Ko Jagna Acha Lagta Hai…

    Mujhe ab neend ki talash nahi, Ab raato ko jagna acha Lagta hai…

    Mujhe nahi maaloom ki wo meri hai ya nahi, Magar Khuda se use maangna acha lagta Hai…

    Jaane mujhe haq hai ya nahi, Par Uski parvah krna acha lagta hai…

    Usse pyar karna sahi hai ya nahi, Par iss Ehsaas mein jeena acha lagta hai…

    Kabhi hum sath hongen ya nahi, Par ye khuwab dekhna acha lagta hai…

    Wo meri hai ya nahi, Par usse apna kehna acha lagta hai…

    Dil ko samjhaya bohat, Par manta hi nahi,

    Shayad isse bhi uske liye Dharkna acha lagta hai.

  • Kahin Wo TUM Tho Nahi…

    Ek pyari si surat,
    Ek masum sa chehra,
    Do jheel si ankhe,
    Kuchh mithi mithi baate
    Ek nazuk ada,
    Kuchh masti kuchh maza,
    Thodi si shrarat,
    Bahut sari mohabbat,
    Ek bholi si muskan,
    Ucha uadane ka armaan,
    Sabse alag sabse juda,
    Jiski hai pyari har ek ada…
    Kahin wo TUM tho nahi…