Mujhe ab neend ki talash nahi, Ab raato ko jagna acha Lagta hai…

Mujhe nahi maaloom ki wo meri hai ya nahi, Magar Khuda se use maangna acha lagta Hai…

Jaane mujhe haq hai ya nahi, Par Uski parvah krna acha lagta hai…

Usse pyar karna sahi hai ya nahi, Par iss Ehsaas mein jeena acha lagta hai…

Kabhi hum sath hongen ya nahi, Par ye khuwab dekhna acha lagta hai…

Wo meri hai ya nahi, Par usse apna kehna acha lagta hai…

Dil ko samjhaya bohat, Par manta hi nahi,

Shayad isse bhi uske liye Dharkna acha lagta hai.